khush-fahmiyon ko dard ka rishta aziz tha kaghaz ki naw thi jise dariya aziz tha ai tangi-e-dayar-e-tamanna bata mujhe wo panw kya hue jinhen sahra aziz tha puchho na kuchh ki shahr mein tum ho nae nae ek din mujhe bhi sair o tamasha aziz tha be-as intizar o tawaqqo baghair shak ab tum se kya kahen hamein kya kya aziz tha wada-khilafiyon pe tha shikwon ka inhisar jhuta sahi magar mujhe wada aziz tha ek rasm-e-bewafai thi wo bhi hui tamam wo yar-e-bewafa mujhe kitna aziz tha yaaden mujhe na jurm-e-talluq ki den saza mera koi na main hi kisi ka aziz tha