muhit-e-pak pe mauj-e-hunar mein raushan hun main e'tibar-e-kaf-e-kuza-e-gar mein raushan hun main hashiya hun tere jalwa-zar-e-hairat ka main tere sath tere baam-o-dar mein raushan hun main aap-apna ujala hun shab ke daman par main aap-apni dua-e-sahar mein raushan hun bujha sakegi na mujh ko hawa-e-sud-o-ziyan main taq-e-ma-hasal-e-khair-o-shar mein raushan hun utha ke le gaya mujh ko giroh-e-nara-kashan main inqalab ki jhuti khabar mein raushan hun wahi hai kohnagi-e-zulmat-e-khala aur main nai udan nae baal-o-par mein raushan hun na jaane kab se hun aatish-ba-jaan tamasha kar tere liye main teri rah-guzar mein raushan hun chamak rahi hai udasi mere hawale se main 'ramz' ab bhi kisi chashm-e-tar mein raushan hun