khush hun ki mera husn-e-talab kaam to aaya khali hi sahi meri taraf jam to aaya kafi hai mere dil ki tasalli ko yahi baat aap aa na sake aap ka paigham to aaya apnon ne nazar pheri to dil tu ne diya sath duniya mein koi dost mere kaam to aaya wo subh ka ehsas ho ya meri kashish ho duba hua khurshid lab-e-baam to aaya log un se ye kahte hain ki kitne hain 'shakil' aap us husn ke sadqe mein mera nam to aaya