umr guzri meri shirini-e-guftar ke sath lab milae the kabhi main ne lab-e-yar ke sath gham-e-jaanan ki aziyyat gham-e-duniya ka azab zindagi main ne guzari bade aazar ke sath gard mein dub gaya silsila-e-sham-o-sahar waqt bhi chal nahin sakta meri raftar ke sath meri khuddar tabiat ne bachaya mujh ko mera rishta kisi darbar na sarkar ke sath dekhna kucha-e-jaanan mein kahin 'saif' na ho ek saya sa nazar aata hai diwar ke sath