KHush-jamalon ki yaad aati hai By Ghazal << hai chaman mein rahm gulc... waqt-e-qayam dast-e-qaza ... >> khush-jamalon ki yaad aati hai be-misalon ki yaad aati hai bais-e-rashk mehr-o-mah the jo un hilalon ki yaad aati hai jin ki aankhon mein tha surur-e-ghazal un ghazalon ki yaad aati hai sadgi la-jawab hai jin ki un sawalon ki yaad aati hai Share on: