waqt-e-qayam dast-e-qaza ne nahin diya chalne lage to sath hawa ne nahin diya pahle hi marhale mein qalam ho ke rah gae dast-e-hunar ko hath dikhane nahin diya girna to kya bura tha magar us ko kya kahen jo gir gaya to uthne uthane nahin diya ab un ki kaj-rawi se shikayat hain hamein hum ne hi un ko rah pe aane nahin diya do chaar karen kothiyan das bis lakh bas is se ziyaada khauf-e-khuda ne nahin diya main sirf telephone ka ehsanmand hun un ka payam baad-e-saba ne nahin diya us yar-e-shokh-chashm se 'khalid' ka irtibaat ek raaz tha ki jis ko chhupane nahin diya