zaban thak gai ba-khuda kahte kahte tujhe be-wafa ba-wafa kahte kahte karam goya mujh ko hai diwangi bhi zamana hua ek sana kahte kahte alam hain ki shaghl-e-faraghat ki saughat sar-e-anjuman chup hua kahte kahte zaban par yakayak laga qufl chup ka kisi dusre ko khuda kahte kahte dalil-e-mohabbat use kya main deta wo kahne laga jab suna kahte kahte rakhun fasla us gul-e-nau se 'adil' kaha tu ne mujh se ye kya kahte kahte