khush na aai tumhaari chaal hamein yun na karna tha paemal hamein haal kya puchh puchh jate ho kabhu pate bhi ho bahaal hamein wo dahan wo kamar hi hai maqsud aur kuchh ab nahin khayal hamein is mah-e-chaardah ki duri ne das hi din mein kiya hilal hamein nazar aate hain hote ji ke wabaal halqa halqa tumhaare baal hamein tangi is ja ki naqal kiya kariye yan se wajib hai intiqal hamein sirf lillah kham ke kham karte na kya charkh ne kalal hamein mugh-bache mal mast hum darwesh kaun karta hai musht-mal hamein kab tak us tangna mein khinchiye ranj yan se yarab tu hi nikal hamein tark sabzan-e-shahar kariye ab bas bahut kar chuke nihaal hamein wajh kiya hai ki 'mir' munh pe tere nazar aata hai kuchh malal hamein