warasta us se hain ki mohabbat hi kyun na ho kije hamare sath adawat hi kyun na ho chhoda na mujh mein zoaf ne rang ikhtilat ka hai dil pe bar naqsh-e-mohabbat hi kyun na ho hai mujh ko tujh se tazkira-e-ghair ka gila har-chand bar-sabil-e-shikayat hi kyun na ho paida hui hai kahte hain har dard ki dawa yun ho to chaara-e-gham-e-ulfat hi kyun na ho dala na be-kasi ne kisi se muamla apne se khinchta hun khajalat hi kyun na ho hai aadmi bajae khud ek mahshar-e-khayal hum anjuman samajhte hain khalwat hi kyun na ho hangama-e-zabuni-e-himmat hai infial hasil na kije dahr se ibrat hi kyun na ho warastagi bahana-e-begangi nahin apne se kar na ghair se wahshat hi kyun na ho mitta hai faut-e-fursat-e-hasti ka gham koi umr-e-aziz sarf-e-ibaadat hi kyun na ho us fitna-khu ke dar se ab uthte nahin 'asad' us mein hamare sar pe qayamat hi kyun na ho