khush-qadan jab sawar hote hain sarw-o-qumri shikar hote hain tere baalon ke wasf mein mere sher sab pechdar hote hain aao yaad-e-butan pa bhul na jao ye taghaful-shiar hote hain dekh lewenge ghair ko tujh pas sohbaton mein bhi yar hote hain sadqe ho lewen ek-dam tere phir to tujh par nisar hote hain tu kare hai qarar milne ka hum abhi be-qarar hote hain haf-iqlim har gali hai kahin dilli se bhi dayar hote hain rafta rafta ye tifl-e-khush-zahir fitna-e-rozgar hote hain us ke nazdik kuchh nahin izzat 'mir'-ji yun hi khwar hote hain