pahlu mein rah gaya yun ye dil tadap tadap kar rah jae jaise koi bismil tadap tadap kar majnun-e-be-khirad ne di jaan ba-na-umidi laila ka dekhte hi mahmil tadap tadap kar kahiyo saba jo jawe mazbuh-e-gham ne tere aasan ki shab apni mushkil tadap tadap kar us pardagi ne apna aanchal nahin dikhaya mar mar gae hain us ke mail tadap tadap kar qatil ka mere kucha hai khwab-gah-e-rahat kya kya na so rahe yan ghayal tadap tadap kar haal us ghariq ka hai ja-e-tarahhum ai dil rah jae hai jo zer-e-sahil tadap tadap kar qabu mein aae par main chhoda na us ko hargiz bal kha ke garche nikla qatil tadap tadap kar tu ne to aabru hi kho di hamari ai dil maqtal mein aashiqon ke shamil tadap tadap kar jhumke dikha ke us ko tu ne jo munh dikhaya mar hi gaya na tera sail tadap tadap kar go murgh-e-nama-bar ko bismil kiya hai us ne tai kar rahega aakhir manzil tadap tadap kar furqat mein us ki tu ne ai 'mushafi' bata tu juz-ashk-e-khun kiya kya hasil tadap tadap kar mujh ko ye sujhta hai nahaq tu jaan dega ek din isi tarah se jahil tadap tadap kar