khush-rang hai gul se gul-e-rukhsar tumhaara raihan se siwa khat hai numudar tumhaara matlub ho tum dil hai talabgar tumhaara ye aaina hai tishna-e-didar tumhaara yusuf ko kabhi muft bhi leti na 'zulekha' nazzara jo karti sar-e-bazar tumhaara daman ka bhi bosa na liya fart-e-adab se ab tak nahin ye banda gunahgar tumhaara garmi se jo khurshid-e-qayamat ki jalenge yaad aaega ye saya-e-diwar tumhaara ushshaq ke sajdon ka bhala zikr hi kya hai hindu-o-musalman hai parastar tumhaara tuti ki tarah kyun na sukhan-sanj ho 'ahqar' hai samne aaina-e-rukhsar tumhaara