nam se tere jo raushan matla-e-diwan hua har waraq khurshed ke manind nur-afshan hua teri hi qudrat se paida hai zamin-o-asman khak ka putla tajalli se teri insan hua tere abr-e-faiz se taza hai bagh-e-kaenat kya gul-e-alam nasim-e-fazl se khandan hua qadr rakhta hai sulaiman se zyaada mor bhi jo gada darwaze ka tere hua sultan hua yaad se teri dil-e-nashad apna shad hai zikr tera mere dard-e-fikr ka darman hua sar-bulandi mein bhi mujh ko fakhr ki daulat mili allah allah kis qadar mujh par tera ehsan hua halqa-e-sahab-e-dilan mein tera 'ahqar' nam hai ye samajh le chaak tera nama-e-isyan hua