khush-talai mein shams o qamar donon ek hain din raat ka to farq hai par donon ek hain khwahi mein roun lakht-e-jigar khwah ashk sirf aankhon mein meri lal-o-gohar donon ek hain dijur mein kise hai sapid o siyah ka farq zindaniyon ko sham o sahar donon ek hain kahne ko garche hath juda hain mere wale hone ko us ka tauq o kamar donon ek hain khwahi tu chashm-e-chup se dar aa khwah rast hai aane ko ghar mein dil ke ye dar donon ek hain jo qulzum-e-fana ka musafir hua use baad-e-murad o mauj-e-khatar donon ek hain main jal raha hun un ke to hathon se kuchh na puchh ai 'mushafi' ye dida-e-tar donon ek hain