KHush tha ki uske pyar ka iqrar le liya

khush tha ki us ke pyar ka iqrar le liya
aisa na ho ki jaan ka aazar le liya

us ki dukan mein kuchh to alag baat thi zarur
warna ye kyun ki khwab kharidar le liya

kam kam hi kholna tha maishat ke baadban
kyun nakhuda ne bar-e-ziyan-kar le liya

shayad ki baghban ki baqa bhi isi mein thi
shakhon ke sar se phul ki dastar le liya

aahan-garon ne saz mashinon ka chhin kar
dast-e-hunar se naghma-e-sarshaar le liya

itna kaha ki pyar mein sehhat bhi chahiye
phir hans ke mere hath se akhbar le liya

yun lafziyat-e-ishq ke paikar badal gae
mani ke lab se shokhi-e-izhaar le liya

zakhmon ke nau-ratan se tha gulzar qasr-e-dil
nadan ne shah-e-faqr ka darbar le liya

mitti hamare ganw ki kachchi na thi 'shahab'
naddi ke ek kataw ne ghar-bar le liya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close