khushbu badan ki khali samundar hawaon ke kyun chhedte hain hum ko payambar sadaon ke dekhi na jae hum se pareshan barahnagi chunte hain apne jism mein patthar ridaon ke phir bund bund tapki hamare badan se dhup phir aks aks bikhre hain manzar fazaon ke ye aur baat apni hi tah tak na ja sake utre the chand par bhi shanawar khalaon ke tapte rahe hain khamushi ka zahr umr-bhar shayad wo jaante the muqaddar duaon ke 'iraj' sada-e-rang mahakne lagi hawa qaus-e-quzah ne khol diye par ghataon ke