kyun teri qand-labi khush-sukhani yaad aai zahar-afshani-e-dunya-e-dani yaad aai pae-gul-gasht-e-chaman phir dil-e-diwana chala phir teri sarw-qadi gul-badani yaad aai jab kisi jism pe sajte hue dekha hai libas teri khush-qamati khush-pairahni yaad aai yun nibaha tera wada tere gham ne barson gham-e-ayyam ki paiman-shikani yaad aai jam uthate hi dil umda to bhar aain aankhen chashm-e-saqi teri saghar-shikni yaad aai yaad aai na kabhi be-sar-o-samani mein dekh kar ghar ko gharib-ul-watani yaad aai aaj dikhlate gul-afshani-e-guftar 'wahid' lag gai chup jo wo ghuncha-dahni yaad aai