khushbuon se meri har sans ko bhar deta hai mausam-e-gul tere aane ki khabar deta hai mujh se milta hai magar tez hawaon ki tarah har qadam par mujhe jo shauq-e-safar deta hai bhar gai hai mere daman ko nadi ki ek mauj log kahte hain samundar hi guhar deta hai khamushi mohr laga deti hai honton pe mere is tarah bhi wo rafaqat ka samar deta hai aur bhi umr badha deta hai meri 'shabnam' mera suraj mujhe jab sail-e-sharar deta hai