zauq-e-nazar ko izn-e-nazara na mil saka tanha kabhi wo anjuman-ara na mil saka hum par to jald khul gaya sahil ka sab bharam achchhe rahe wo jin ko kinara na mil saka yak-tarfa rabta hi nibhana pada hamein un ki taraf se koi ishaara na mil saka tum bhi qusur-war nahin qissa mukhtasar mera tumhaare sath sitara na mil saka shahron ki khak chhani khangale hain dasht o dar lekin hamein suragh hamara na mil saka main bhi thi khud-pasand nahin is mein shak koi aksar to par mizaj tumhaara na mil saka ai kash sathiyon se wo apne kabhi kahe 'shabnam' sa koi mujh ko dobara na mil saka