kya gham hai agar be-sar-o-saman bahut hain is shahr mein kirdar ke dhanwan bahut hain chaho to taghaful ke nae tir chalao tute hue dil mein abhi arman bahut hain duzdida-nigahi ye haya-bar tabassum is bazm mein lut jaane ke imkan bahut hain kho jaen na ye gauhar-e-nayab-e-gham-e-ishq bazar-e-mohabbat se ye anjaan bahut hain jo zakhm bhi tu ne diye taza hain abhi tak ai gardish-e-dauran tere ehsan bahut hain tai karke zamane mein taraqqi ke manazil kya baat hai hum log pareshan bahut hain har dagh siyasat ke safedi mein chhupae ye rah-numa sahib-e-iman bahut hain be-khauf siyasat ke pas-e-parda hain mujrim kya bandishen qanun ki be-jaan bahut hain hum hausla-saman hue kya shiddat-e-gham mein arbab-e-jahan dekh ke hairan bahut hain ab aslaha-sazi pe hai taqat ka tawazun ye fitna-o-shar ke liye saman bahut hain barson se 'tarab' rishton pe jo barf jami hai ab us ke pighal jaane ke imkan bahut hain