qayamaten guzar gain riwayaton ki soch mein khalish jo thi wahi rahi mohabbaton ki soch mein ye ab khula ki us ki shaeri mein meri baat ka jo rang khas tha mita izafaton ki soch mein main apne chehra-e-junun ko aaine mein dekh lun to aks bujh na jaega haqiqaton ki soch mein main apni dhup chhanw ki zamanaten na de sakun to aap kyun jalen-bujhen tamazaton ki soch mein ajab mazaq us ka tha ki sar se panw tak mujhe wafaon se bhigo diya nadamaton ki soch mein gai ruton ne hans ke raston ke zakhm bhar diye 'humaira' aaj kaun tha masafaton ki soch mein