khushi mahsus karta hun na gham mahsus karta hun bahr-alam tumhaara hi karam mahsus karta hun alam apna to duniya mein sabhi mahsus karte hain magar main hun ki duniya ka alam mahsus karta hun bas itni baat par momin mujhe kafir samajhte hain dar-e-jaanan ko mehrab-e-haram mahsus karta hun abhi saqi ka faiz-e-am shayad na-mukammal hai abhi kuchh imtiyaz-e-besh-o-kam mahsus karta hun haram walon ko ahl-e-but-kada kuchh bhi samajhte hon magar main but-kade ko bhi haram mahsus karta hun meri taqdir se pahle sanwarna jin ka mushkil hai teri zulfon mein kuchh aise bhi kham mahsus karta hun 'aziz'-e-warsi ye bhi kisi ka mujh pe ehsan hai ki har mahfil mein ab apna bharam mahsus karta hun