muddat se lapata hai khuda jaane kya hua phirta tha ek shakhs tumhein puchhta hua wo zindagi thi aap the ya koi khwab tha jo kuchh tha ek lamhe ko bas samna hua hum ne tere baghair bhi ji kar dikha diya ab ye sawal kya hai ki phir dil ka kya hua so bhi wo tu na dekh saki ai hawa-e-dahr sine mein ek charagh rakha tha jala hua duniya ko zid numaish-e-zakhm-e-jigar se thi fariyaad main ne ki na zamana khafa hua har anjuman mein dhyan usi anjuman ka hai jaga ho jaise khwab koi dekhta hua shayad chaman mein ji na lage laut aaun main sayyaad rakh qafas ka abhi dar khula hua ye iztirab-e-shauq hai 'akhtar' ki gumrahi main apne qafile se hun koson badha hua