kohsar ka khugar hai na paband-e-gulistan aazad hai har qaid-e-maqami se musalman ghar kunj-e-qafas ko bhi bana leti hai bulbul shahin ki nigahon mein nasheman bhi hai zindan allah ke bandon ki hai duniya hi nirali kante koi bota hai to ugte hain gulistan kah do ye qayamat se dabe panw guzar jae kuchh soch raha hai abhi bhaarat ka musalman ai shaikh-e-haram aaj tera faisla kya hai saf-bandi-e-masjid ki saf-arai-e-maidan sine mein shikam le ke ubharti hain jo qaumen ban jati hain aakhir mein khud aazuqa-e-dauran chalti hui ek baat hai na-mo'tabar ek chiz na-ahl ki daulat ho ki nadar ka iman mulla ka ye fatwa hai ki 'faruq' hai mulhid ai din-e-mohammad tera allah nigah-ban