nahin ki hum ne kabhi haal-e-soz-e-jaan na kaha magar ba-hila-e-araish-e-bayan na kaha koi khata na hui jis ki ye mile padash magar yahi ki zaminon ko aasman na kaha jis anjuman se hua qissa-e-junun aaghaz wahin kabhi na kaha go kahan kahan na kaha ye ehtiram-e-talluq ye ehtiyat to dekh ki zindagi ko kabhi hum ne raegan na kaha tere karam ko karam hi kaha sitam ko sitam zahe khulus-e-tamanna ki imtihan na kaha hazar khushk raha apni zindagi ka chaman teri bahaar ko lekin kabhi khizan na kaha hamein bhi nudrat-e-uslub thi aziz magar unhen jahan hi pukara gham-e-jahan na kaha