tere naz uthane ko ji chahta hai muqaddar banane ko ji chahta hai fughan lab pe lane ko ji chahta hai qayamat uthane ko ji chahta hai nahin mar ke bhi bhulna jin ko mumkin unhen bhul jaane ko ji chahta hai tumhein dekh kar aaj jaan-e-tamanna mohabbat jatane ko ji chahta hai wo gham jis ki lazzat hai malum dil ko wo gham phir uthane ko ji chahta hai zara bijliyon ko to aawaz dena nasheman banane ko ji chahta hai ye dil aazmaish mein thahre na thahre magar aazmane ko ji chahta hai bahaaren kahan ras aaengi mujh ko khizan ko manane ko ji chahta hai gham-e-taza ki hai ye tamhid shayad mera muskurane ko ji chahta hai ghadi bhar yun hi ruth jao khudara tumhein phir manane ko ji chahta hai tumhaari in aankhon ki gahraiyon mein mera dub jaane ko ji chahta hai nazar ka ye parda jo hail hai ab tak use 'sehr' uthane ko ji chahta hai