lakir khinchna diwar mat bana lena tum ikhtilaf ko aazar mat bana lena ba-nam-e-dad-e-sukhan ye jo shor barpa hai ise kalam ka mear mat bana lena kahani sunte raho shauq se magar khud ko kisi kahani ka kirdar mat bana lena tumhaare ashkon ki goyai se main darta hun unhen wasil-e-izhaar mat bana lena mohabbaton ke safar mein yaqin to lazim hai kisi ke wade ko patwar mat bana lena visal se hi nikalte hain hijr ke mausam gulon ki shakh ko talwar mat bana lena haweliyon mein jo baqi sharafaten hain abhi ab un ko zinat-e-bazar mat bana lena ye shohraton ki talab thik hai magar 'tariq' tum apni zat ko akhbar mat bana lena