tez hawa aur shab-bhar barish

tez hawa aur shab-bhar barish
indr chup aur bahar barish

aise pahle kab barsi thin
aankhen aur barabar barish

sahra to pyase ka pyasa
aur bhare dariya par barish

is sur-tal ka aur maza tha
kachche ghar ki chhat par barish

jhum rahe hain bhig rahe hain
ped parinde manzar barish

main ne baadal ko bheji thi
ek kaghaz par likh kar barish

mere ashkon se likkhe ko
wo padhta hai aksar barish

kaun ye dekhe dida-e-pur-nam
ek barish ke andar barish

yaad bahut aate hain 'jaanan'
hath mein hath aur sar par barish


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close