khushk us ki zat ka saton samundar ho gaya dhup kuchh aisi padi wo shakhs banjar ho gaya aangan aangan zahr barsaegi us ki chandni wo agar mahtab ki surat ujagar ho gaya mere aadhe jism ki us ko lagegi bad-dua kal khabar aa jaegi wo shakhs patthar ho gaya kis ne apne hath se khud maut ka katba likha kaun apni qabr par ibrat ka patthar ho gaya qurb jab had se badha duri muqaddar ho gai us ka milna bhi na milne ke barabar ho gaya main ki bahar ki faza mein qaid tha jis ke sabab aaj wo khud jins ke pinjre ke andar ho gaya muft mein taqsim ki 'sajid' mata-e-shaeri jis ne apna qurb apnaya wo shaer ho gaya