nawah-e-jaan mein ajab hadisa hua ab ke badan ka sara asasa bikhar gaya ab ke zawal aa gaya rishton ke chand-suraj ko wo bhi khamosh tha aur main bhi chup raha ab ke aur us ne dhund liya koi saeban naya tamam raat main hi bhigta raha ab ke ye dur dur yazidi ki jaise hai tausia machi hai chaaron-taraf phir se karbala ab ke mujhe talash karo tum ufuq ke pas kahin zamin se tut gaya mera rabta ab ke wo kohar kohar se chehre dhuan dhuan si faza 'qamar' main kaise koi khwab dekhta ab ke