meri har guftugu tauhid ki hai so main ne ishq ki taid ki hai kabhi guzre ho kya tum karbala se kabhi shabbir ki taqlid ki hai yahan jo raushni hai chaar jaanib sinan par bolte khurshid ki hai lahu ka rang dala hai ghazal mein darun ke soz ki tajdid ki hai hasad se zang lagta hai dilon ko yahi ek dost ne takid ki hai jise mujh se mohabbat hi nahin thi usi ne khair se tardid ki hai khizan ka dard sine se laga kar visal-e-yar ki ummid ki hai 'suhaib' aisi khabar ne aa liya hai ki main ne nazm mein tajrid ki hai