khwab dekhne wali aankhen patthar hongi tab sochenge sundar komal dhyan titliyan be-par hongi tab sochenge ras barsane wale baadal aur taraf kyun ud jate hain hari-bhari shadab khetiyan banjar hongi tab sochenge basti ki diwar pe kis ne an-honi baaten likh di hain is anjaane dar ki baaten ghar ghar hongi tab sochenge mange ke phulon se kab tak rup-sarup ka man badhega apne aangan ki mahkaren be-ghar hongi tab sochenge biti rut ki sab pahchanen bhul gae to phir kya hoga gae dinon ki yaaden jab be-manzar hongi tab sochenge aane wale kal ka swagat kaise hoga kaun karega jalte hue suraj ki kirnen sar par hongi tab sochenge