kya kya nazar ko shauq-e-hawas dekhne mein tha dekha to har jamal isi aaine mein tha qulzum ne badh ke chum liye phul se qadam dariya-e-rang-o-nur abhi raste mein tha ek mauj-e-khun-e-khalq thi kis ki jabin pe thi ek tauq-e-fard-e-jurm tha kis ke gale mein tha ek rishta-e-wafa tha so kis na-shanas se ek dard hirz-e-jaan tha so kis ke sile mein tha sahba-e-tund-o-tez ki hiddat ko kya khabar shishe se puchhiye jo maza tutne mein tha kya kya rahe hain harf o hikayat ke silsile wo kam-sukhan nahin tha magar dekhne mein tha taib the ehtisab se jab sare baada-kash mujh ko ye iftikhar ki main mai-kade mein tha