khwab-e-didar na dekha hum ne ghaebana unhen chaha hum ne kam na tha ishq azal se ruswa kar diya aur bhi ruswa hum ne zindagi mahw-e-khud-arai thi aankh utha kar bhi na dekha hum ne rah se dur nazar aae jo khar un ko palkon se uthaya hum ne le liya koh-e-hawadis sar par waqt ke dil ko na toda hum ne kar diya fash tera gham le kar raaz-e-ejaz-e-masiha hum ne koh sangin haqaeq tha jahan husn ka khwab tarasha hum ne dard aaluda-e-darman tha 'rawish' dard ko dard banaya hum ne