mile mujh ko gham se fursat to sunaun wo fasana ki tapak pade nazar se mai-e-ishrat-e-shabana yahi zindagi musibat yahi zindagi musarrat yahi zindagi haqiqat yahi zindagi fasana kabhi dard ki tamanna kabhi koshish-e-mudawa kabhi bijliyon ki khwahish kabhi fikr-e-ashiyana mere qahqahon ki zad par kabhi gardishen jahan ki mere aansuon ki rau mein kabhi talkhi-e-zamana meri rifaton se larzan kabhi mehr-o-mah o anjum meri pastiyon se khaif kabhi auj-e-khusrawana kabhi main hun tujh se nalan kabhi mujh se tu pareshan kabhi main tera hadaf hun kabhi tu mera nishana jise pa saka na zahid jise chhu saka na sufi wahi tar chhedta hai mera soz-e-shairana