teri justuju mein nikle to ajab sarab dekhe kabhi shab ko din kaha hai kabhi din mein khwab dekhe mere dil mein is tarah hai teri aarzu khiraman koi naznin ho jaise jo khuli kitab dekhe jise meri aarzu ho jo kharab-e-ku-ba-ku ho mujhe dekhne se pahle tujhe be-naqab dekhe jise kuchh nazar na aaya ho jahan rang-o-bu mein wo khila gulab dekhe wo tera shabab dekhe do-jahan ko la duboe wo zara si aabju mein teri chashm-e-surmagin ko jo koi pur-ab dekhe yun thahar thahar ke guzri shab-e-intizar yaro ki sahar ke hote hote kai hum ne khwab dekhe mujhe dekhna ho jas ko mere haal par na jae mera zauq-o-shauq dekhe mera intikhab dekhe