kya chiz hai ye sai-e-paiham kya jazba-e-kaamil hota hai allah ko agar manzur na ho har maqsad baatil hota hai ek tis si paiham pata hun kya is ko mohabbat kahte hain mahsus mujhe mitha mitha kuchh dard sa ai dil hota hai taskin ko dhoka dete hain nakaam tamanna ye kah kar har-gam pe manzil hoti hai har mauj mein sahil hota hai ye ranj-o-alam hi mere liye ab zist ka unwan hain hamdam is duniya mein pahle pahle har kaam hi mushkil hota hai taskin si kyun mil jati hai mizrab-e-dast-e-shauq mujhe har tar-e-gareban kya wahshat ke saz ka hamil hota hai