ye zakhm zakhm badan aur nam fazaon mein bhatak raha hun liye iztirab panw mein ye be-lihaz nigahen ye ajnabi chehre panap raha hai koi shahr jaise ganw mein bacha ke maut se insan khud ko rakh leta jo ghunghru hote kahin hadson ke panw mein ye ek roz hamara wajud das lega ugal rahe hain jo ye zahr hum hawaon mein har ek pal mare hum phir bhi zindagi chahi ghazab kashish rahi kam-bakht ki adaon mein wo ghar bana ke bahaaron ka lutf lete hain jo tinka tinka jama karte hain khizaon mein