khwab-kari wahi kamkhwab wahi hai ki nahin sher ka husn abad-tab wahi hai ki nahin kya pari ko mujhe machhli mein badalna hoga dekhne ke liye talab wahi hai ki nahin main jahan aaya tha pedon ki tilawat karne samne qarya-e-shadab wahi hai ki nahin aankh ko nind mein malum nahin ho sakta raat wo hai ki nahin khwab wahi hai ki nahin jis ko chhune se mera jism chamak utthega dekh ye shisha-e-mahtab wahi hai ki nahin ye kahani ke alaw se churai hui aag mahw-e-hairat hai ki barfab wahi hai ki nahin sar jhukane se jahan ashk-e-tapan jaga tha sochta hun ki ye mehrab wahi hai ki nahin