koi siwa-e-badan hai na hai wara-e-badan badan mein gunj rahi hai abhi sada-e-badan ajab hai shahr magar shahr se bhi log ajab udhaar mang rahe hain badan bara-e-badan jahan thithurti tamanna ko aag tak na mile wahan pe kaun thaharta hai ai sara-e-badan kahin chamakti hui ret bhi dikhai na di kahan gaya wo samundar sarab khae badan charagh ban ke chamakte hain roz sham dhale hamare pahlu mein soe hue parae badan har ek rah mein bikhre pade hain barg-e-nafas yahan chali hai bahut din talak hawa-e-badan wo apni qaus-e-quzah le gaya to kya hoga 'tarir' ghaur-talab hai teri faza-e-badan