khwab khulna hai jo aankhon pe wo kab khulta hai phir bhi kahiye ki bas ab khulta hai ab khulta hai bab-e-rukhsat se guzarta hun so hoti hai shanakht jis qadar dosh pe saman hai sab khulta hai ye andhera hai aur aise hi nahin khulta ye der tak raushni ki jati hai tab khulta hai meri aawaz pe khulta tha jo dar pahle-pahal main pareshan hun ki khamoshi pe ab khulta hai ek makan ki badi tashwish hai rahgiron ko wo jo barson mein nahin khulta to kab khulta hai ab khula hai ki charaghon ko yahan rakkha jae ye wo rukh hai jahan darwaza-e-shab khulta hai us ne khulne ki yahi shart rakhi ho jaise mujh mein girhen si laga jata hai jab khulta hai