main hi nahin hun barham us zulf-e-kaj-ada se tuk munh tera jo paen uljhen abhi hawa se tum ne nikalne mein kuchh kam na kin jafaen ab tak jo tham rahe hain hum apni hi wafa se pahli nigah mein dil par barchhi si lag gai hai pahunche the intiha ko hum us ki ibtida se rakhna qadam zamin par tuk dekh kar pyare dil rah mein pade hain lakhon ke naqsh-e-pa se ja ai tabib yan se itna nahin samajhta bimari-e-mohabbat kis ki gai dawa se main aashiq-e-bala hun karta hun us ko sajda khak-e-qadam ko us ki jo aao karbala se mashhur thi buzurgi un ki sabhon se lekin apne tain taaruf chandan na tha ziya se aksar gali se us ki dekha tha main ne jate ho gae the is sabab se kuchh surat-ashna se kal un ko main ne dekha sar nange pa-barahna jama jo hai gali mein sau tukde ja-ba-ja se dar-parda yun main un se puchha ki qibla-e-man kyun aaj is qadar hain aazurda-o-khafa se mahjub se wo ho kar kahne lage na puchho mar jaen ya ilahi chhuten kahin bala se ye turfa majra hai ek ja pe dil diya hai par qahr hain wahan ke launde zara zara se itni si umr mein ye ayyariyan hain karte lete hain dil ko pahle de de bahut dilase jab dekhte hain aaya ab ikhtiyar mein dil jo dekhiyo to phir pesh aate hain is ada se main ne kaha ki hazrat aap apni tarf dekhen jo in buton se hoga so hoga wo khuda se be-ikhtiyar ho kar bole ki sach hai sahab waqif nahin hue ho ishq-e-hawas-faza se dariya ke rahne wale kya jaanen is asar ko pani ki qadr puchho un se jo hain piyase