saman-e-zauq-o-shauq sameto safar karo rahna zarur hai to kisi dil mein ghar karo khud-ashna nahin to mukammal nahin hayat dil ko asir-e-halqa-e-ahl-e-nazar karo aarasta lahu se bhi hota hai qasr-e-dil kuchh aur bhi hasin ye diwar-o-dar karo ubhrega zulmaton se nae din ka aaftab tarikiyon ke khauf ko nazr-e-sharar karo pahle khizan ke chaak-gareban ko dekh lo phir daman-e-bahaar ki jaanib nazar karo