khwab thahra sar-e-manzil na tah-e-baam kabhi is musafir ne uthaya nahin aaram kabhi shab-ba-khair us ne kaha tha ki sitare larze hum na bhulenge judai ka wo hangam kabhi sar-kashi apni hui kam na umiden tutin mujh se kuchh khush na gaya mausam-e-alam kabhi hum se aawaron ki sohbat mein hai wo lutf ki bas do-ghadi mil to sahi gardish-e-ayyam kabhi ai saba main bhi tha aashufta-saron mein yakta puchhna dilli ki galiyon se mera nam kabhi