khwab mein bhi meri zanjir-e-safar ka jagna aankh kya lagna ki ek sauda-e-sar ka jagna agle din kya hone wala tha ki ab tak yaad hai intizar-e-subh mein wo sare ghar ka jagna bastiyon se shab-nawardon ka chala jaana magar raat bhar ab bhi charagh-e-rahguzar ka jagna aakhiri ummid ka mahtab jal bujhne ke baad mera so jaana mere diwar-o-dar ka jagna phir hawaon se kisi imkan ki milna nawed phir lahu mein aarzu-e-taza-tar ka jagna ek din us lams ke asrar khulna jism par ek shab is khak mein barq-o-sharar ka jagna is ka harf-e-mukhtasar bedariyon ka silsila lafz mein mani ka, mani mein asar ka jagna be-nawa patte bhi aayat-e-numu padhte hue tum ne dekha hai kabhi shakh-e-shajar ka jagna yak-ba-yak har raushni ka dub jaana aur phir aasman par ek tilsm-e-sim-o-zar ka jagna