tum nahin pas koi pas nahin ab mujhe zindagi ki aas nahin kashmakash mein na ruh pad jae yun to marne ka kuchh hiras nahin lala-o-gul bujha saken jis ko ishq ki pyas aisi pyas nahin umr si umr ho gai barbaad dil-e-nadan abas udas nahin sans lene mein dard hota hai ab hawa zindagi ki ras nahin rah mein apni khak hone de aur kuchh meri iltimas nahin kya bataun maal-e-shauq 'jigar' aah qaem mere hawas nahin