kiya tajjub ki meri ruh-e-rawan tak pahunche pahle koi mere naghmon ki zaban tak pahunche jab har ek shorish-e-gham zabt-e-fughan tak pahunche phir khuda jaane ye hangama kahan tak pahunche aankh tak dil se na aae na zaban tak pahunche baat jis ki hai usi aafat-e-jaan tak pahunche tu jahan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai dekh rindan-e-khush-anfas kahan tak pahunche jo zamane ko bura kahte hain khud hain wo bure kash ye baat tere gosh-e-giran tak pahunche badh ke rindon ne qadam hazrat-e-waiz ke liye girte padte jo dar-e-pir-e-mughan tak pahunche tu mere haal-e-pareshan pe bahut tanz na kar apne gesu bhi zara dekh kahan tak pahunche un ka jo farz hai wo ahl-e-siyasat jaanen mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche ishq ki chot dikhane mein kahin aati hai kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayan tak pahunche jalwe betab the jo parda-e-fitrat mein 'jigar' khud tadap kar meri chashm-e-nigaran tak pahunche