kis tarah chain se dam bhar shab-e-furqat mein rahe hae wo dil jo tere wasl ki hasrat mein rahe hum pas-e-marg bhi betabi-e-furqat mein rahe kabhi bahar nikal aae kabhi turbat mein rahe tirgi ab na hamari shab-e-furqat mein rahe un ki zulfon mein rahe ghair ki turbat mein rahe ku-e-qatil mein rahe hum ye aziyyat mein rahe nim-bismil ki tarah shauq-e-shahadat mein rahe subh tak mujh se wo lipta shab-e-waslat mein rahe raat bhar aaj asar jazb-e-mohabbat mein rahe ghair ke ashkon se dhoen to na daman se chhute itni shokhi to mere khun ki rangat mein rahe rang halka sa ho jin phulon ka wo pahno tum kuchh takalluf bhi meri jaan nazakat mein rahe ghair ke sath wo jab phul chadhane aae hum bahut dil ko sanbhaale hue turbat mein rahe teri sarkar mein insaf yahi hai ai ishq aarzu koi nikale koi hasrat mein rahe zabh ke waqt wo zanu pe mera sar rakh le kuchh to aaram ka pahlu bhi aziyyat mein rahe dam-e-khanda dar-e-dandan ka agar aks pade kuchh chamak bhi tere rukhsar ki rangat mein rahe lutf kya pae hain hans bol ke hum ne tum ne gul-o-bulbul ki tarah bagh-e-mohabbat mein rahe puchhen ahwal mera wo to ye kahna qasid shab ko bechain bahut dard ki shiddat mein rahe dil na qabu mein raha dekh ke surat un ki ghash se fursat hui hum ko to hairat mein rahe main to ghabra ke chala hun kisi kuche ki taraf bekasi aa ke mere ghar shab-e-furqat mein rahe bad-guman hun main dikhae na kisi ko surat ya mere dil mein rahe ya koi khalwat mein rahe rukh-e-raushan pe jo tum zulf-e-siyah bikhra do phir na kuchh khauf sahar ka shab-e-waslat mein rahe baad murdan na jagah pai kisi kuche mein muft barbaad hasinon ki mohabbat mein rahe meri turbat se lipat kar ye kisi ka kahna aap ab hashr talak wasl ki hasrat mein rahe zanu-e-hur pe soya kiye sar rakkhe hue tere kushte bhi badi aish se turbat mein rahe baad marne ke khuli hain jo hamari aankhen hai ishaara tere didar ki hasrat mein rahe dhajjiyan shaikh ki is tarah udao rindo ek bhi tar na dastar-e-fazilat mein rahe be-naqab aa ke jo wo qabr pe gham karte hain chahte hain ki meri nash na turbat mein rahe kabhi dil tham ke baithe kabhi ghabra utthe kya kahen aap se kyunkar shab-e-furqat mein rahe zabh karta koi zanu se daba kar sina hae mushtaq-e-shahadat isi hasrat mein rahe khush-nasibi hai jo phirta hun tere kuche mein aarzu hai yahi gardish meri qismat mein rahe ghair ki qabr pe wo phul chadhaya kiye roz aasra hum bhi lagae hue turbat mein rahe hazrat-e-shaikh jo maikhane mein aaen 'naushad' ek bhi tar na dastar-e-fazilat mein rahe