khwab-o-khayal-e-gul se kidhar jae aadmi ek gulshan-e-hawa hai jidhar jae aadmi dekhe hue se lagte hain raste makan makin jis shahr mein bhatak ke jidhar jae aadmi dekhe hain wo nagar ki abhi tak hun khauf mein wo suraten mili hain ki dar jae aadmi ye bahr-e-hast-o-bud hai be-gauhar-e-murad gahraiyon mein is ki agar jae aadmi parde mein rang-o-bu ke safar-dar-safar 'munir' in manzilon se kaise guzar jae aadmi