sufi-e-shahr mere haq mein dua kya karta khud tha muhtaj-e-ata mujh ko ata kya karta apni aawaz ke sannate se hol aata hai main bayaban-e-tamanna mein sada kya karta sans lete hue sine mein jalan hoti hai main tere shahr ki shadab faza kya karta is faza mein to farishton ke bhi par jalte hain main yahan jurat-e-parwaz bhala kya karta mohtasib jurm mera dekh ke khamosh raha khud khata-kar tha ahkaam-e-saza kya karta tum ne to chhin li mujh se meri goyai bhi main to ek kaghaz-e-atish-zada tha kya karta